chand dariyaon se nikla tha samundar aagaya




chand dariyaon se nikla tha samundar aagaya
ab safar aagey ka hai kafir kadam rukte nahi


hai musalsal jindagi peeche tere maloom hai
baat bas itni si hai uske karam rukte nahi


ainon mein saaf hai har aks dhundla hai magar
har subah ko shaam karte hain bharam rukte nahi



saansein jal jati hain dil ke aatishana khel mein
kya karein jab apke bosey garam rukte nahi


pattharon ke zakhm bhi ruk kar kabhi dekha karo
raaste badnam karte hain adam rukte nahi






Comments

Popular Posts