Shikayatein kabhi khamosh kabhi bebak

Shikayatein kabhi khamosh kabhi bebak
kabhi hanseen kabhi namkeen
kabhi saadi kabhi shaukeen
kabhi chahaton se bhari huye
kabhi zakhmi dil se hari huye
Shikayatein kabhi khamosh kabhi bebak
kabhi chandni si kabhi dhoop si
kabhi sachchi kabhi behroop si
kabhi bartanon ki awaz si
kabhi piyaliyon ke mijaz si
Shikayatein kabhi khamosh kabhi bebak
kabhi khali khali makan si
kabhi mehfilon ki dukan si
kabhi unkahi kabhi unsuni
kabhi salwaton si kabhi khudbuni
Shikayatein kabhi khamosh kabhi bebak
kabhi chat pe intezaar karti
kabhi raat bhar bekarar karti
kabhi barsat ke pani ke saath
kabhi unchui manmani ke saath
Shikayatein kabhi khamosh kabhi bebak
kabhi ankhon se behte neer si
kabhi ibadat mein baithe fakir si
Kabhi iltiza ke irade si
kabhi tute huye vade si
Shikayatein kabhi khamosh kabhi bebak
Shikayatein kabhi khamosh kabhi bebak



 

Comments

Popular Posts