Rishton mein umas aajati hai

Khamoshi ke jab badal hon
rishton mein umas aajati hai

jab band kamron mein tanha dil
bas khud se baatein karta hai
kehta bhi nahi sunta bhi nahi
bas din se raatein karta hai
aise hi nami ehsason ki
dewaron par aajati hai
rishton mein umas aajati hai
Khamoshi ke jab badal hon


koi galat nahi koi sahi nahi
hasne ki bhi aadat rahi nahi
bachchon ki tarah baatein na karo
khush rehne ki koshish na karo
gardish ke makanon mein aksar
Chat chahat ki chu jati hai
rishton mein umas aajati hai
Khamoshi ke jab badal hon

sikkon ki khanak sab sunte hain
phir rishtey dari bunte hain
ye baat kahin zahir na ho
kuch aise lamhe chunte hain
phir khud hi dukanon par bikne
apnon ki wafa aajati hai
rishton mein umas aajati hai
Khamoshi ke jab badal hon



Comments

Popular Posts