Gustakhiyan karte rahiye

Gustakhiyan karte rahiye
khushiyon ka namak ashkon mein mila dijiye
dard e dil ko thodi si pila dijiye
thehre huye ehsas ko zara hila dijiye
guzre huye kal ko sila dijiye
gamon ki aag pani se bujhate rahiye
Gustakhiyan karte rahiye

bhari man ke neechey se kursi kheench lein
khamoshiyon ki ungliyan peench lein
andheri raaton se ankhein meench lein
taqdeer ki beimaniyan haathon se bheench lein
jindagi ke bighoney mein muskurahtein ubalte rahiye
Gustakhiyan karte rahiye

calender ki shatranj deewar se utarein
uske khanon mein dil ke hathi ghode daudayein
waqt ki chali chalon ko bhool jayein
calender kharab hone par doosra le aayein
haath pe tiktikate lamhon ki chabi ghumate rahiye
Gustakhiyan karte rahiye

Comments

Popular Posts