Bheega libas ishq ka katil na ban jaye

Sawan mein bheegne se hai  mumtaz ko parhez
bheega libas ishq ka katil na ban jaye


teri nigah se pi to lein is baat ka hai dar
tujhse miley dil sheher se gafil na ban jaye

hoon khaufjada dekh ke bachpan ka school bag
bachcha humare hum sa hi jahil na ban jaye

chahat wafa inayatein sab hain tijaratan
darta hoon dil ghata jama hansil na ban jaye

likhte huye kalam se lahoo behne laga hai

kahin ishq mera husn ke kabil na ban jaye

tujhje milun kabhi na kabhi is jahan mein
ye khwab kahin door ka rahil na ban jaye

kuch ho na ho is baat ka bas rakhna tu khayal
bemauj samandar ka tu 'saahiel' na ban jaye

Comments

Popular Posts