Tu khud ko dekh kar kuch keh nahi pata aksar


Tu khud ko dekh kar kuch keh nahi pata aksar
Dar is tarah bhi ankhon se numa hota

khushbuon mein chupa rehta hai
samne aata nahi sehta hai
chand lamhon ko liye umr bhar behta hai
tera wajood yahi karta hai khata aksar

Tu khud ko dekh kar kuch keh nahi pata aksar
Dar is tarah bhi ankhon se numa hota

Lal neele hare rangon mein kho gaya hai tu
Apne khwabon ke raston pe so gaya hai tu
Khar halaat ke phir dil mein bo gaya hai tu
teri chahat tuhe karti hai lapata aksar

Tu khud ko dekh kar kuch keh nahi pata aksar
Dar is tarah bhi ankhon se numa hota






Comments

Popular Posts