koi farak nahi padta

Koi farak nahi padta
khusbuyein door huye paas huyein
khwahishein noor huyein khak huyein
rang kapdo se utre ya chade rahe
log khade huye ya pade rahe
pani aankhon se baha ya nal se
kaun ladta raha hai har pal se
teri ankhon mein likha kuch bhi ho
koi nahi padta
Koi farak nahi padta
Mahine ki tankha company ka auhda tere iman par itna bhari hai
Ye kis tarah ki jannat ki tyyari hai
teri badi badi baaton ke peeche tera bhookha nanga sach khada hai
tu phir bhi doosron ko apni insaniyat ka yakin dilane pe ada hai
teri nakam koshishon par sab tali baja rahe hain
dekh tere chahnewale tujhe agey badha rahe hain
kyunki unhe maloom hai to kahin nahi pahuchega
roz sham ko beimaniyon mein sana ghar lautega
Adhi guzar chuka hai umr yuhin girta padta
Koi farak nahi padta
Kabhi apne girebaan ko sungh kar dekh
tujhe ehsaas hoga kitna ganda hai tu
Jisme kabhi koi munafa nahi hone wala
chalakiyon makkariyon ka wo dhanda hai tu
tabhi to koi gali dene ke chakkar mein bhi nahi padta
Koi farak nahi padta
khusbuyein door huye paas huyein
khwahishein noor huyein khak huyein
rang kapdo se utre ya chade rahe
log khade huye ya pade rahe
pani aankhon se baha ya nal se
kaun ladta raha hai har pal se
teri ankhon mein likha kuch bhi ho
koi nahi padta
Koi farak nahi padta


Comments

Popular Posts