bagair dua salam chale jate hain yuhin


Bagair dua salam chale jate hain yuhin
kuch lamhe subahoshaam badal jate hain yuhin

kagaz pe kalam der tak rakhi nahi rehti
ghazlon mein dil ke khaam dhale aate hain yuhin

ashkon ki wafa dekho daman nahi jalate
girte huye ghulam samabhal jate hain yuhin

sukhi kalam zara si badri se thi lagaye
lo sher sare tar se huye jate hain yuhin

awaz deke lauta thandi hawa ka zhonka
ashiq tere badnaam huye jate hain yuhin

apno ki adawat ho gairon ki muhabbat ho
tujhse hi kuch diwane aazmate hain yuhin

kabhi surkh rooh hokar kabhi bada e gum  pikar
har shaam apni ghazlein gungunate hain yuhin




Comments

Popular Posts