Skip to main content
Kisi shayar ke dil ka dard to kya jaan paaogey
Love for the only
Gulzaar
(Oscar Award Winner for Slum dog millionaire)
Kisi shayar ke dil ka dard to kya jaan paaogey
Magar shayad lahoo ka rang to pehchan logey tum
KYA DILLI KYA LAHORE
Hua jo bhi hua
kiya jisne kiya
ussey jane bhi do yaaron
wahan bhi tum
yahan bhi tum
yahi sach man lo yaaron.
Magar shayad khudaon ko ye baatein raas na aayein
kahin masjid na gir jaayein , kahin mandir na gir jaayein
tumhari aankh ke aansoo
hain unki aankh ke aansoo
wahan bhi tum,
yahan bhi tum ,
yahi sach hai tumhara bhi hamara bhi..
Jo boya jisne kaatega
hai bada bhai daantega
kisi ne sach kaha tha Ram to har yug mein aaye hain
magar phir lakshman aaya nahi koi zamane mein
magar ye sab
baatein purani hain
gaye beete kahani hain
inhe chodo badho aagaye
gale milkar chalo aagye
humne har bhar koshish ki
badho kuch tum bhi to aagey.
Agar Gulzaar na hotey
to ye alfaz na hotey
Thanks 'Gulzar Saheb' for inspiring
millions of 'Saahiel'-s
like me
I was fortunate to meet you once at Prithvi theatre where I whispered into your ears
Aaj apne khuda se mil liya..and you said with love
Jeetey Raho...!
Comments
Post a Comment