ke jinse ishq kiya unse poochte 'saahiel' bika to dil tha magar kya hua khumari ka



Jinhe hai shauk muhabbat mein parda dari ka

lo aagaya hai zamana fareb dari ka



Is naye daur mein lamhon mein bik gayi chahat

raha maza bhi Kahan ishq ki tyyari ka


Khuloos hai bahut ,bahut hai, magar khud se hai

chalo kuch naam naya rakh dein is bimari ka



Tu khada hoke samander mein dekhta hai ussey,

uski ankhon mein hai paani bhi bas udhari ka



Gadiyan sabki daudtin hain suni sadkon par

kahan maza raha cycle ki us sawari ka



ke jinse ishq kiya unse poochte 'saahiel'

bika to dil tha magar kya hua khumari ka

Comments

Popular Posts