Jahan par khwab tute the wahin bikhare pade honge uthalao unhe phir tum unhi ke saath chalna hai



Jahan par khwab tute the
wahin bikhare pade honge
uthalao unhe phir tum
unhi ke saath chalna hai

kisi se kuch bhi mat poocho
zara itna bhi mat socho
andheron se daro na tum
ihne bhi saath chalna hai

hain ankhein sabki dekhenge
deewane kuch bhi keh denge
magar khud hi sambhalna hai
ye sabbhi saath chalna hai

bharosa khud pe karna bas
nikalna hai kamar lo kas
jo kehte hain bana denge
unhi se bach ke chalna hai

Jinhe sab kuch samajhete ho
jinhe apna samajhete ho
unhe bhi jaanch ke chalna
ke jinke saath chalna hai

badal lenge nazar kuch log
Banenge humsafar kuch log
musafir ki tarah chalna
Sabhi ke saath chalna hai

Jahan par khwab tute the
wahin bikhare pade honge
uthalao unhe phir tum
unhi ke saath chalna hai..

Comments

  1. @Saahiel Sir: Cool. Are yeh thinking of making a song out of this? Could make a decent motivational song...

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts