tu kehta hai ke dho lene do, lali shirt pe jo hai Magar'Saahiel'wafayein,haadse dhone nahin detin



guzaar doon teri zulfon mein gum ki shaam magar
badi bechainiyan hain chain se sone nahi detin

takalluf is kadar barpa hai,duniya mein teri ae husn
Ab aankhein guftagu dil se kabhi hone nahin detin


mila kafi mila karke muhabbat phir bhi lalach hai
hasinayein sukun e aashiqui khone nahi detin

muhabbat phir se kar lene ki aadatein teri ae ishq
hazaron baar dil tute tujhe rone nahi detin


tu kehta hai ke dho lene do, lali shirt pe jo hai  

Magar'Saahiel'wafayein,haadse dhone nahin detin

guzar doon teri zulfon mein gum ki shaam magar
badi bechainiyan hain chain se sone nahi detin

Comments

  1. @Saahiel Sir: One thing that caught my eye was, “Magar'Saahiel'wafayein,” this felt unnatural yet reminded me of the lines penned by the great “Kabir,” who had his share of fun romancing with his own thoughts.
    Good piece of work but it would be better if the words like “Shirt” and “Guftagu” don’t alienate each other with their presence.
    Have a good day always.

    ReplyDelete
  2. love you bro ...for the support.thnks for the feed back par ye sab mai dhyan nahi rakhta jo achcha lagta hai likh deta hoon ye ustadon ke liye hai insaanon ke liye nahi.

    Jab koi bada shayar Beswadi likh sakta hai to mai bhi khel sakta hooon apni zaban se...sirf muhaabat padho ...meri request hai..galtiyan to Ishq ka naseeb hain.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts