Skip to main content
Shayar ke darwaze pe,ab koi nahi khada...
Shayar ke darwaze pe,ab koi nahi khada
Music director ko hook chahiye,
Producer ko madam chopda
Kehne waale kehte hain ab wo shayar nahi rahe
Bilkul sahi hai sarkar,aaj itna dard kaun sahe..
Bachon ke school ki fees
ban jaati hai shayari ki tees
bade badon ko kha gayi mehengai ki mar
to phir beechara shayar kya kare yaar..
Use bhi to apna ghar chalana hai
Sheron ne thodi aata ban jaana hai
Duniye mein pet se kabhi dil nahi lada
Music director ko hook chahiye,
Producer ko madam chopda
Shayar sochta bahut hai samaj ke liye par kuch kar nahi pata
Kyunki usey shayari se roti banana nahi aata.
Jo shayar ye hunar seekh jaate hain
Wahi log bade shayar kehlate hain
Shayar wahi hai jo likhna chahe so likhe
Chahe phir wo bikey na bikey
Ye kehna aasan to bahut hai
Par isme shayar ka nuksaan bahut hai
khud hi tay kijiye bhookh badi yaa sahitya bada
Shayar ke darwaze pe,ab koi nahi khada
Music director ko hook chahiye,
Producer ko madam chopda
Ah, true indeed.
ReplyDeleteNow all we need to do is clone remaining surviving "Poets" and "Shayars" ...*sigh*
Wah kya likha hai bhai truely awesome
ReplyDelete