Gam ki barish ho, dhoop ho, ya sehar ho 'saahiel' waqt insaan ko saugat diye rehta hai


Yahan sheher mein shor bahut hai dil ka.
Magar dimag, kaan band kiye rehta hai.

Jinhe pata hi nahi maikashon ki gamdari
wo keh rahe hain, tu har roz piye rehta hai.

kisi ke ishq ne barbad kiya hai usko,
kuch bhi keh lo ussey, hoton ko siye rehta hai

Tamaam umr maje se guzar bhi sakti hai
magar har aadmi ,kyun pyar kiye rehta hai.


surkh hoton ka hunar hai, koi kare bhi to kya
jaan do char ki, har bar liye rehta hai.

Gam ki barish ho, dhoop ho, ya sehar ho 'saahiel'
waqt insaan ko saugat diye rehta hai.

Comments

Popular Posts